Sooni shamo mein patte ka halke se hilna yaad hai,
Haan, uska mujhe milna aaj bhi yaad hai!
Tharakte, darte, aur ghabrate pairo se chalna,
Fir mud kar aansoo bhar kar uska ghurana,
Mujhe sab kuch achi tarah yaad hai!
Barsaati raat mein, jab besharm bijali thi us din garji
Mujhe yun laga, kya hai yeh duniya farzi
Kya mein badha du apni yeh arzi
Kuch der ruko ya chale jao agar teri yeh marzi,
Theek kaah mujhe sab yaa hai!
Yaad hai maine di thi tujhe ek lambi awaz,
Ruki tu, lit hi tune gehri si saans
Kuch alag sat ha teri aankhon mein
jaise dard chipa tha teri baton mein
mein bani jaan ke bhi anjaan
kyun badhau jaan pehchaan
aakhir kya lage tu meri
hamari mulakaat bhi thi aadhi adhuri !
fir jee chaha, haath badha ke rok lu tujhko,
pochu kya lena dena hai tujhse mujhko,
parchai hu saath chalungi,
tu aage aage mein peeche peeche milungi
kaha tha usne,
haan aaj bhi mujhe tu saaf saaf yaad hai!
1 comments:
your poem sounds good...carry on
Post a Comment