"A bi-lingual platform to express free ideas, thoughts and opinions generated from an alert and thoughtful mind."

Sunday, January 10, 2010

Mohalla!



Mohalla hai yeh nirala
Aachar, vichaar aur bhed-bhav
Ko samet ti
Vibhananta aur anekta, yahan na koi abav!

Alag alag hai fir bhi
Kitni hai samantaye
Mat ek nahi hai
Fir bhi milti hai kitni manyataye !

Bhashaye hai kitni bhinan
Jaise hai yeh jeevan ka abhinan
Mantanyo ka bhi alag hai dhand
Kar de sabko bilkul daang!

Khan-paan ka rang bhi hai anokha
Khaye toh laage humko yeh chokha
Kabhi parathe, dahi toh idli aur dosa
Jo bhi mil jaye pyar se parosa!

Adbhudh hai mera mohalla
Man ka sukoon hai fir bhi ho raha kitna ho halla!

Related Posts :



0 comments:

Post a Comment