"A bi-lingual platform to express free ideas, thoughts and opinions generated from an alert and thoughtful mind."

Wednesday, January 13, 2010

Kar nishchaiye liye khushiyo ki goonj



Har taraf hai khushiyo ki goonj
khushiya bata rahi hai tyoharo ki dhoom
Dhoom ka aisa chada hai rang
Rang mein naache ho ke sab magan
Magan bina koi silwat aur shikan
Shikan bhaga, sun sakha, aakhir kuch samay toh mila
Amrit ras paan chakhane ka
Kheer mein gire makhane ka
Suro se suro ko milane ka
Nachane ka aur nachaane ka



Badha lo haath, ho jao saath
Is pavitra aag mein jala do kuch aaj
Yeh jhutha lalach ka parda
Kyun hota dard itna gehra
Yeh main ki bhavana
Jisna kabhi di nahi kisi ko bhi santawana
Kyun soche tu apne aur paraye
Jeevan jaaye har koi pachhtaye
Tod de yeh gusse ki diwar
Kyun beh rahi jalan ki bayar
Daya tune jo dikhayi thi jhuthi
Dhundh le apne dar ki buti
Kanjoosi bhi hai ek burai
Jisne banaya tujhe nirdayi kasai
Rah jo tu apni bhula
bujh gaya jo jal raha tha chulha!

Jala do sab aaj
Aa rahi tere beetar se awaz
Bajao ab nishchaya ki been
Jo sunai de har raain!

Related Posts :



0 comments:

Post a Comment