Jab bhagwan ne mujhe dharti par bheja
Maine sikha naam na duja
Maa o meri maa!
Tumse hi hai subah meri
Tum hi gehri raat meri
Tum hi meri dhup ho
Toh hi toh meri chav ho
Maa o meri maa!
Pehli shikshak ban ke tune sikhayi har baat mujhe
Pehli saheli ban ke dikhayi har raah mujhe
Pehli guru bhi tum bani
Pehli saathi bhi tum hi thi
Maa o meri maa!
Subah tadke tum uth jaati
Daant daath ke mujhe uthati
Aur pyar se yeh samjati
Chalna hai tujhe dur
Maa o meri maa!
Anushashan kyun tumko itna pyara
Kabi kabhi lage tumhe yeh mujhse zyada nyara
Tere aage saara jag haara
Tujhse hi sansar hamara
Maa o meri maa!
Gussa tumhara lage bada bhari
Jab aaye toh kar lo puri taiyyari
Ho sakta hai pitane ki bhi aayi baari
Par tune hai meri duniya sawari
Maa o meri maa!
Mein na tujhse kabhi dur jau
Tu bulaye mein dhaudi chali aau
Tere god mein hi jeevan pau
Aur tujhe fir se satau
Maa o meri maa!
Man karta hai tujhe bahut chidau
Aj fir mein kuch aisa kar jau
Muh fulaye baithi rehna aur mein tujhko behlau
Aankhen matka ke, haste haste mein tujhko pyar se fir manau
Maa o meri maa!
2 comments:
nice poem.
Nice Work !!!
Post a Comment