Us din jab maine dimag jo apna khola
Gira kahi jaise bum ka gola
Itna kuch samete hue
Kaise seedhi khadi thi ek nanhi si jaan
Dimag hai ya yeh bhul bhulaiyya
Vishtaar kar sake jo ban jaye kavaiyya
Thi usme baatein kitni saari
Jaise baag mein ropi thi choti choti kyari
Yaadein bhi thi samaye khari
Jisne kiya mera dil itna bhari!
Pachtawa bhi tha kahi chippa
Fayda toh ab hai nahi
Kar do isko bhi dafa
Kahi dard bhi sar uthaye tha
Mua, kahi moh lagaye tha
Bechaini bhi ho rahi thi halki si
Jaise hawa beh rahi thi pagli si
Khushiyo ke do pal bhi mile hamein wahi
Jo sapno mein kho gaye kahi
Ummede fir bhi bachi thi kuch
Kaise kahe jeevan hai tuchch.
Dekh ke yeh nazara
Sar chakra gaya hamara
Kar do isko pehle jaisa band
Khatam karo yeh dwand!
0 comments:
Post a Comment