Jeevan bana ek prayogshala
Na jaane isme kya kya dala
Jab se maine hosh sambhala
Phail raha aantarik ujjala!
Bachpan beeta jawani aayi
Chod gayi nishani kai
Man mein uthe sau sawal
Kyun macha har taraf bawal!
Koi kahe jujhana tera kaam hai
Phir kyun har kisi ka daam hai
Bikata hai roz wahi
Jisne lagayi nahi boli sahi!
Jeevan bana prayogshala
Na jaane isme kya kya daala!
0 comments:
Post a Comment