"A bi-lingual platform to express free ideas, thoughts and opinions generated from an alert and thoughtful mind."

Saturday, January 9, 2010

Hum Aur Aap



Who khete hai zindagi ka har mod

kuch yaadein jaata apni chor

Hum bhi jab kuch aise mod se guzre

Din toh hamare bhi ban gaye the bade sunhare



haan, shuruat hamari kuch yun hue

Ghatana thodi ajeeb thi wahi

Arre aap hi toh mile the us din

Jis din samjhautha hua beech bharat aur chin



Khair, tab tak toh sab theek tha, jab tak aap khone mein khade the

Aur hum bus conductor se jab lad pade the

aap fir nok-jhok mein aise kud pade the

Aur hum apki taraf ghur ke gusse se mude the



Maan na maan mein tera mehman

Man kiya nikalu apne teer aur kaman

Afsos, aap lage hamein hi ulta samjhane

Suniye, aap hamari mane



Tilmilayi, kitkitayi, mein toh bus se uttar aayi

Samajh rahi thi musibat peeche chor aayi

Par hamein kahan tha yeh pata

Kismat hi meri rahi thi us din mujhe sata



Chalte chalte jab peeche mein mudhi

Chauk gayi thi jaisi hi aap ki mujeh surat dikhi

Yun laga aap mera kar rahe the picha

Man toh mera bahut hua khija



Karti kya mein marti, himmat juta pahuchi apke paas

Thame apni chadti saans

Kya peecha kar rahe hai aap

Jawab dijiye aap janab



Tilmilaye toh aap bhi the

Aankhen chadaye gusse mein toh khade the

Dikhta hu kya mein apko loafer aisa

Mein nahi hu aisa waisa



Aakhir, hum apne raste chal diye

Pure karne jo kaam adhure the chhut gaye

Milna tha hamein magazine ke editor se

Jinse appointment mila tha badi hi mushkil se



Jaldi jaldi mein bhi der toh ho gayi thi badi

Milna toh tha, thi yeh mushkil ghadi

Office pahuch kar humne chaprasi se pocha

Sir hai kya andar?



Usne mujhe thoda ghura

Jaise peeche se kisi ne maar diya hamein chura

Saab toh abhi aaye hai

Lagta ahi thode paglaye hai



Hamein pocha aisa hua kya

Bola, maang lo ab aap dua

thoda sambhal kar andar jaye

aur shanti rakhe banaye



gabrayi mein badhaye dheere se apne kadam

ghut raha tha mera toh man

dastak di maine jaise darwaze par

awaz aayi andar ab kaun aaya sar par



darwaza khol mein jaise andar gayi

pairo ke neeche se zameen jaise nikla gayi

yeh toh aap hi khade the

jo bahar mujhse itna lade the



maine kaha, aap

das gaya jaise aapko kala saap

khos rahi thi mein apne aap ko

kyun milna tha hamein aap ko



pocha aapne, chai lengi aap

man kiya keh du, rasta napiye aap

maine kaha appointment liya the apse

usi silsile mein milna tha janab se



apne kaha, darna chodiye pehle aap

shakal dekhiye sooni lag rahi hai saaf

kabhi kabhi aisa ho jata hai

confusion toh create ho hi jata hai



chaliye ab maaf bhi kijiye

chehra thoda saaf bhi kijiye

gussa ab thuk bhi dijiye

dosti ab toh kar bhi lijiye!

Related Posts :



4 comments:

Shubh said...

Great work.

Sunny said...

ajeeb kissee ho jaate hai ek pal mein
anjaane apne ban jaate hai ek pal mein
na ho paate hai kareeb kisi se aarson tak
Kabhi kisse ban jaate hai ek pal mein ...

Rachana said...

well written....

Chandan Kumar said...

Its really Interesting.

Post a Comment