Yun hua mera aant
Gehre andhri raat mein
Bilakh rahe the sabhi
Suni galiyon mein awaz aa rahi thi thami thami
Man kiya pochu maa, tu kyun itna tadpe
Mein toh yehi tere paas khadi
Pita bhi baithe hai vyakul bade
Kyun aap aj himmat haare
Behane bhi hai meri ghum sum
Jinke chehre khile hua karte the kusum
Bhai ke bhi sabr ka bandh jo tuta
lagta hai sab luta pita
log aaye aanso bahaye
e maa, tujhe aur rulaye
na sun na kisi ki baat
mein toh hu tere hi saath
maan liya tune yeh kaisa
janni se ho kaise jeev juda
yaad rakhana yehi sada
mein toh yehi kahi
dikhu nahi toh samajh lo
chhip gayi kahi!
1 comments:
hey... really nice poems..i would say stick with the hindi fonts.. they looks better with a hindi poem.
Keep writing. Cheers !
Post a Comment