Socho duniya mein agar rang nahi hote
Tumhre mere jeevan ka abhinan ang nahi hote
Mein kaise janti kya hai laali ki gehrayi
Tum kaise samajhte aasmani oouchayi
Mein kaise mehsus karti hariyali ki chatta
Tum kaise mapte suraj kahan mar mita
Mein kaise sochti kya hai shanti ka pratik
Tum kaise dekhte kajal ki kor kitni satik
Mein kaise manti usha ki umang
Tum kaise pehchante mitti ki tarang
Mein kaise chakh pati jamun ka swad
Tum kaise khilate gulab daal bina khaad!
Rango ne sabko joda
Jeevan kahan se kahan moda
Hai ab waqt thoda
Kyun rakho isko kora
Karo rango se pyar fir sach much aayegi jeevan mein bahar
Baar baar har baar!
1 comments:
I like your writing style..keepi it up
Post a Comment