"A bi-lingual platform to express free ideas, thoughts and opinions generated from an alert and thoughtful mind."

Thursday, April 29, 2010

Kabhi-Kabhi (कभी-कभी)




ऐसा क्यूँ होता है
बैठे-बैठे
खो जाती हूँ
पुराने, सुनहरे गलियारों में
जहाँ घर के आँगन में
सुबह की पहली किरण अटखेली करती थी!

भागती मैं पीछे-पीछे
सुध-बुध गवाती
तितलियों के संग उनके देस
जाने की जिद्द करती!

गिरती, पड़ती
रोती, हस्ती
मुख मंडल पर
सौ भाव लिए
अपनी ही दुनिया
में विचरती रहती!

सोच इतनी की अब क्या खेलू
रास्ता निहारु
बादल के परो पर चढ़
कही दूर निकल जाऊ
अनभिज्ञ मैं नित्य बदलती रहती!

हाँ, बदल तो सब गया है
खो गए वो दिन
वो कच्चे रंगीन सपने
वो मुस्कुराते दिन
वो ठहरती शाम
रह गयी बस मीठी याद
जो कचोटती है दिल को – कभी-कभी!




Kabhi-kabhi

Aisa kyun hota hai
Baithe-baithe
Kho jaati hu
Purane, sunhare galiyaro mein
Jahan ghar ke aangan mein
Subah ki pehli kiran atkheli karti thi!

Bhagti main peeche peeche
Sudh-budh gavati
Titliyo ke sang unke des
Jaane ki zidd karti!

Girti, padti
Roti, hasti
Mukh mandal par
Sau bhaav liye
Apni hi duniya
Mein vicharti rehti!

Soch itni ki ab kya khelu
Raasta niharu
Baadal ke paro par chhad
Kahi dur nikal jau
Anbhigya main nitya badalti rehti!


Haan, badal to sab gaya hai
Kho gaye wo din
Wo kachche rangeen sapne
Wo muskuraate din
Wo thaharti sham
Reh gayi bas meethi yaad
Jo kachotti hai dil ko – kabhi kabhi!


Related Posts :



1 comments:

Chandan Kumar said...

Good One. Bachpan ki yaad aa gayi. Kitne cool the wo din bhi.
__________________________________________________
Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hua Karte The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,

Wo Khushiyan Bhi Na Jane Kaisi Khushiya Thi,
Titli Ke Par Noch Kar Uchhla Karte The,

Chhote The To Makro Fareb Bhi Jhuthe The
Daane Daal Kar Chidiya Pakda Karte The,

Ab To Ek Aansu Bhi Kar Jaaye Ruswa,
Bachpan Mein Jee Bhar Kar Roya Karte The…
__________________________________________________

Post a Comment