कलम चलना चाहती है!
समय से आगे दौड़ना चाहती है!
आसमान के फैलाव को समेटना चाहती है!
धरती की तरुनाई को भी समझाना चाहती है!
आग की उसमा में पकना चाहती है!
पानी की नर्म बूंदों में भीगना भी चाहती है!
सुबह के यौवन का सिंगार करना चाहती है!
शाम की ढलती तन्हाई का विस्तार करना भी चाहती है!
पर्वत की उचाई का अंदाजा लगाना चाहती है!
सागर की गहराई का हिसाब लगाना भी चाहती है!
पंछियों की उड़ान को गले लगाना चाहती है!
कोयल की बोली का गीत बनना भी चाहती है!
मन में उठ रहे सैलाब को बटोरना चाहती है!
मुस्कुराहतो के पीछे दुःख की मार को पहचाना भी चाहती है!
कलम तो चलना चाहती है!
समय से आगे भागना चाहती है!
Kalam Ki Chahat
Kalam chalna chahti hai
Samay se aage daudna chahti hai!
Asmaan ke failav ko sametna chahti hai!
Dharti ki tarunai ko bhi samjhana chahti hai!
Aag ki usma mein pakna chahti hai!
Paani ki narm boondein mein bhigna bhi chahti hai!
Subah ke youvan ka singaar karna chahti hai
Shaam ki dhalti tanhai ka vistaar karna bhi chahti hai!
Parbhat ki uchchai ka andaaza lagana chanti hai!
Sagar ki gehrai ka hisab lagana bhi chahti hai!
Panchiyo ki udaan ko gale lagana chahti hai
Koyal ki boli ka geet ban na bhi chahti hai!
Man mein uth rahe sailab ko batorna chahti hai
Muskhurahto ke peeche dukh ki maar pehchana bhi chahti hai!
Kalam toh chalna chahti hai
Samay se aage bhagna chahti hai!
4 comments:
Good Kalam..!!
itna kuch chahti hai... than I am sure wo female he hogi..! Just Joking..! Any ways its good.
thanx...kalam female hi hai kyunki isme bhavnayein aur gehrai hai...
rachana
Hi Rachna,
Its beautiful peom, I really like your writting skills. Keep writting.
Regards, Rahul
Hi Rachana...this poem says about your wishes too..lovely poem!
Post a Comment