"A bi-lingual platform to express free ideas, thoughts and opinions generated from an alert and thoughtful mind."

Saturday, February 6, 2010

Aawazein peecha karti hai! (आवाजें पीछा करती है!)



पलने में लग रहे झुनझुने के हिलने में,
माँ के पुचकारने में,
पिता जी के हसने में,
बहन के दुलार में,
भाई की शरारत में,
शिक्षक की छड़ी की मार में,
दोस्तों के प्यार में,
प्रेमिका से तकरार में,
बॉस की फटकार में,
किसी के हसने में,
बच्चे के रोने में,
अपनों को खोने में,
अपने मन को खोजने में,

हाँ, आखिर आवाजें पीछा कहाँ छोडती है!
फिर, आवाजें धुंधली होती जाती है!
आँखें मूँद लेने पर भी
कुछ आवाजें पीछा करती ही रहती है!



Aawazein peecha karti hai!

Palne mein lag rahe jhunjhune ki hilne mein,
Maa ke puchkarne mein,
Pita jee ki hasne mein,
Behan kei dular mein,
Bhai ki shararat mein,
Shikshak ki chhadi ki maar mein,
Dosto ke pyar mein,
Premika se takrar mein,
Boss ki fatkar mein,
Kisi ke hasne mein,
Bache ke rone mein,
Apno ko khone mein,
Apne man ko khojne mein,

Haan, aakhir aawazein peecha kahan chhodti hai!
Fir, aawazein dhundhali hoti jaati hai!
Aankhien moond lene par bhi
Kuch aawazein peecha karti hi rehti hai!

Related Posts :



4 comments:

Alka said...

kya baat hai!

Alka:-)

Himanshu said...

Good...!!

Rachana said...

thank you

Unknown said...

Good Things are always with us.
Beautiful lines. Again your lines are just like a Gager mai Sager.

Post a Comment