Wednesday, December 30, 2009
Sardi Ka Mausam
Sardi ka mausam, lekar aaya khushiya nayi
Anth ho garmi ka, hai yeh ek musibat nayi!
Wajan se zyada kapdo ka bhoj
Koi kaise kare ab toh mauj!
Bahar nikalne ka na kare man
Dubak jao rajai mein bas yehi soche har jeevan!
Thandi hawayein taazi taazi
Laye nayi umenge, tarunayi
Haso, gao aur khilkilao mere man
Kyunki aaya hai sardi ka mausam!
Mein Kaun?
Mein kaun?
Apne papa ki dulari
Bhai ke liye atyachari
Behan ke liye mein bechari
Mummy ki mein pyari
Doston ke liye ek khatarnak bimari
Office mein dikhau samajhdaari
Bahar mujhse duniya haari
Mujhme hai badi hoshiyari
Par ajkal mujhpar chayi hai thodi si bimari
Himmat hai mujhme, karni hai taiyyari
Ho chahe jo kuch, manungi nhi kabhi haar hamari!
Barkha ki Boondein
Ulti seedhi, oochi neechi, aage piche
Padti barkha ki manchali boondein
Lehar lehar, baras baras, shor machati
Yeh pagal matwali boondein
Jaane kisko paas bulaye
Jaane kisko dur bhagaye
Pado par chad k nachti gaati
Phulo k beech chup chup roti
Hat ja pagli, tu kyun itna shor machaye
Saare aasman mein hi toh badal chhaye
Kyun re tu itni bawari
Hua kya tu itna itraye
Mera man bhi saath mein gaaye
Jadu sangeet ka sab par aaye
Raju babloo ghar se niklo
Chup chup ke tum barkha se khelo
Yeh kisi ke haath mein na aaye
Palak jhapkate fur se udd jaaye!
Subscribe to:
Posts (Atom)